Mere Rashke Qamar Lyrics–Sonu Kakkar|Video

Mere Rashke Qamar Lyrics-Sonu Kakkar|Video: Mere Rashke Qamar is the new hit song in the voice of Sonu Kakkar.The music is given by A Aakash Rijia & lyrics are drawn up by Fans Baland Sheri.

Song– Mere Rashke Qamar
Singer–Sonu Kakkar
Music– Aakash Rijia
Lyrics–Fana Baland Sheri

Mere Rakshke Qamar Lyrics:

Mere rashk e qamar tu ne pehli nazar,
jab nazar se milaayi maza aa gaya,
barq si gir gayi kaam hee kar gayi,
aag aisee lagaayi maza aa gaya..
Jaam mein ghoul kar husan ke mastiyan,
chaandni muskurai maza aa gaya,
chaand ke sa’ay mein ay mere saaqiya,
tu ne aisee pilaayi maza aa gaya..
Nasha sheeshe mein angrai laine laga,
bazm rindaan mein saagar khanakne laga,
maikade pe barasne lagi mastiyaan,
jab ghata gir ke chaayi maza aagaya..
Be hijabaana woh saamne aa gaye,
aur jawaani jawaani se takra gayi,
aankh unki laree yoon meri aankh se,
daikh kar ye laraai maza aa gaya..
Aankh mein thee haya her mulaqaat par,
surkh aariz hu’ay wasal ki baat par,
us ne sharma ke mere sawaalat pe,
aise gardan jhukaayi maza aagaya..
Shaikh sahib ka imaan bik he gaya,
daikh kar husan e saqi pigal he gaya,
aaj se pehle ye kitne maghroor the,
lut gayi parsaayi maza aa gaya..
Ay fana shukar hai aaj baad e fana,
us ne rakh le mere pyaar kee aabro,
apne haathon se usne meri qabar par,
chaadar e gul charhaayi maza aagaya..
Mere rashk e qamar tu ne pehli nazar,
jab nazar se milaayi maza aa gaya..

Video:

 

Comments

comments

Leave a Comment