Kishoravastha Par Media Ka Prabhav-Debate

Kishoravastha Par Media Ka Prabhav-“Debate”:-Usually people debate that Teenagers are affected by media or not. Here are some arguments in favour of the topic “Kishoravastha Par Media Ka Prabhav” Checkout the Debate ““Kishoravastha Par Media Ka Prabhav” here & give comment on this.

Kishoravastha Par Media Ka Prabhav

 Yeh mere vichar shabd bhar nahi , samaj ka aaina hai.

             Aaj ke kishoro ke liye, gyan ki sadhna hai”

 

Kishoravastha arthath 13 se 19 varsh ke beech ki avastha,yeh aayu ki ek esi avastha hai jisme kishor manasik roop se paripakva nahi hote, unpar us mahol ka jyada asar padta hai jise weh dekhte va sunteh hai.

Aaj jansanchar arthath media jiske antargath hame radio, television, samachar patra tatha internet jaise madhyam aate hai jo bahut sashakta hai tatha saralta se uplabdha ho jate hai. Aadhunik jivan mein jansanchar arthath media ka eik mehetvapoorn hissa hai,yeh kuch hi palon mein desh-videsh ki khabron se avgath kara deta hai,tatha nayi suchnaon se jaise pariksha chhetra ho ya phir kishoro ke bhavishye ke nirman se sambandhi tathye,sab uplabdha kara deta hai. Isleeye hamaare samaaj mein eik aehem asthan rakhta hai.

Har sikke ke do pehlo hote hai ,sakaratmak tatha nakaratmak.Aaj main aap sabhi ke samaksh sakratmak paksh par apne vichaar rakh rahi hoon.

Jansanchaar arthath media rashtra ki Samajik, Rajnaitik,Aarthik aivam Sanskritik gatividhiyon ka aaina hai.Jansanchaar ka prachlan aarambh hote hi yeh aaj ke kishoro ke vicharon ko prabhavit kar raha hai.

Kya AAp Jante Hai ?

Ki vibhin deshon ke rajnaitik aivam samajik krantiyon ke atirikta Bharat ke swatantrata sangarsh mein bhi jansanchaar ka aehem yogdaan hai.Aur aapko pata hoga ki punarjagran ke agraduth Raja Ram Mohan Roy sahit anya samaj sudharako ne bhi apne dharmik aivam samajik karyekramo ko jan jan tak pahuchane hetu einhi madhyamo ka sahra leeya.

Lala Lajpat Ray ka New India,Mahatma Gandhi ka Young India Tatha Harijan.Ein sabhi mahan netaon ne apne einhi madhyamon se British shashan ki shoshankari nitiyon aivam karyakramon ko jan jan tak pahuchaakar British shashan ki jarhen hila di jiske karan British shashan ko vishva ki aalochnaon ka saamna karna parha.

Kya aapko lagta hai ki media ke bina hamara desh aajadh ho sakta thaa? kya Mahta Gandhi jaise mahan netaa hamaare desh ko uski takat ka aihesas karaa paate? Nahi yeh aasaan nahi hotaa.

Aap khud sochiye 2012 mein huye bhyankar Bus Rap hatyakaand jisme eik Ladki ko 6 Aadmiyon ka shikaar hona parha yeh media hi toh thi jisne desh ke sabhi yuva varg ko eiksaath eik aandolan se jodaa aur jiska prinaam hai ki hamaari sarkaar ne apne samvidhhan main sanshodhan karke Fastrack kanoon lagoo kiyaa.Agar media na hoti toh kya hamaare desh ke Netaon ko hamaare desh ki jantaa ki takat ka ehesaas ho pata? Kya Damini jesi anek ladkiyo ko insaaf mil pata?Nahi, Hame toh iss khabar ke baare mein pataa bhi naa chal paata.

Jansanchaar jahan aadhunik itihaas ka srotra hai wahi yeh aaj ki yuva  pidhi ko desh ke vikaas ke liye yogdaan dene ke leeye bhi prerit kar rahaa hai.Yeh wo Guru bhi hai jon sashakt banker aaj ke kishoro ki unniti mein margdarshan bhi de rahaa hai.

Tabhi toh Descrates neh kaha hai ki – “Garibimein Gyan ka madhyam jansanchaar eik aasara tatha Khushali mein eik Gehenaa hai.”

Eik shakishaali Rashtra ke nirmaan ke leeye iska eik bahut badaa yogdaan hai,tatha iske sath hi yeh bhi dhyan rakhta hai ki iska prabhav rastra ki akhandtaon par naa padeh.Sach ko jantaa ke samaksh rakhne ke leeye isse paryapt swatantrata ki aavashyakta hai.Yeh swatantrata Media ko Anuched(19) (1) mein di gayi hai.

Kya aapko lagta hai ki media ke abhav mein hamaara Loktantra kaisa hoga? Kya hamaare desh ke Kishor media ke bina hamaari sarkaar ki neetiyo aivam yojhnaon kaa faida utha payenge? Shayad kam ya bilkool nahi.Isleeye media hamaare samaaj mein eik aehem bhumika nibhataa hai.Ant main main bas yeh hi kahnaa chahoogi ki media hamaare loktantra ko prabhavit karti hai tatha saath hi yeh aaj ke Kiskoro ko nayi takniko tatha vishva ki uplabdhiyon se prerit bhi karti hai.Tabhi toh kaha gaya hai –

“Bachche ho ya javaan

“Media deti samachaar eik samaan”

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *